tumhaare masale kya hain zara hum par ayan karte

By bazagh-bihariAugust 16, 2021
tumhaare masale kya hain zara hum par ayan karte
kahin se tum bayan karte kahin se hum bayan karte
chalo tum ne kahi jo baat wo hum man lete hain
magar hum apni baaten kis tarah tum par ayan karte


kabhi to jhank kar dekho zara apne gareban mein
hamari samt us ke baad tum nok-e-sinan karte
ulajh padte ho tum apne buzurgon se are tauba
zara bhi sharm aani chahiye lambi zaban karte


bada ehsan hai begam sudhaara aap ne mujh ko
wagarna zindagi katti meri khar-mastiyan karte
wo kitni jhidkiyan khate hain subh-o-sham biwi ki
magar waiz ko dekha aap ne aah-o-fughan karte


tumhaare qariya-e-jaan mein hamari baadshahat hai
magar dekha kisi ne hum ko sair-e-gulsitan karte
13296 viewsghazalEnglish