tumhaare pas rahen hum to maut bhi kya hai

tumhaare pas rahen hum to maut bhi kya hai
magar jo dur kate tum se zindagi kya hai

jab uth ke chal diye tum tirgi umad aai
jo tum na ho to charaghon ki raushni kya hai

kuchh aise phul bhi guzre hain meri nazron se
jo khil ke bhi na samajh pae zindagi kya hai

bas un ki yaad ke hum panw chum lete hain
hamein khabar nahin meraj-e-bandagi kya hai

kabhi jo gosh-bar-awaz ho ke us ko suno
tumhein pata bhi chale saz-e-khamushi kya hai

meri nigah ne kya kya na khwab dekhe hain
teri nigah ne ek baat si kahi kya hai

hamin ne zulmat-e-hasti mein dil jalae hain
ye hum samajhte hain darman-e-tirgi kya hai

ubhar rahi hai jo rah rah ke dil ki dhadkan mein
wo aarzu hai ki hai us ki bebasi kya hai

khizan-nasib hon nazren jo ahl-e-gulshan ki
to phir bahaar ke jalwon ki tazgi kya hai

jahan mein ye kabhi majbur hai kabhi mukhtar
hai ek shoabada 'azad' aadmi kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close