tumhaare qad se hain qaem qayamaten kya kya

By
tumhaare qad se hain qaem qayamaten kya kya
uthi hain baithe bithae ye aafaten kya kya

labon pe jaan ka aana ye khwab ka jaana
khayal-e-lab mein hain teri halawaten kya kya

dil apna tum ko diya phir rakhe wafa ki umid
bayan apni karun main himaqaten kya kya

zamin mein sharm se us qad ki gad gaya hai sarw
hui hain us ko na hasil nadamaten kya kya

phira 'adam se koi ab talak na ukta kar
khuda hi jaane wahan hain faraghaten kya kya

tu be-nasib hai naseh tujhe kahun kya main
ki ranj-e-ishq mein hoti hain rahaten kya kya

gale se lagte hi jitne gile the bhul gae
wagarna yaad thin mujh ko shikayaten kya kya

mujhe hai girya main machlae par hansi aati
kahe hai sun ke tu jab meri haalaten kya kya

kahe hai mujh ko mera shoala-ru ba-sad tashnia
bayan teri karun main shararten kya kya

kahun jo aa to phire mere gird pahron talak
jo bolun ja to jatae naqahaten kya kya

darae aah se gar aah sun ke main na darun
dikhae ashk ki apni sarayaten kya kya

jo zulf dekhi to chimti mujhe bala ki tarah
nasib apne ki batlaen shamaten kya kya

jo kholun band-e-qaba phir khule hai teri zaban
nikalta hai tu is mein qabahaten kya kya

jo surma dun hun to ek tutiya sa bandhe hai
kahun jo baat banae hikayaten kya kya

mariz-e-'ishq tu ho aur mujh ko rog lage
rahen hain ab ki zamane mein chahaten kya kya

jo zikr kal ka kiya main ne munh chhupa ke kaha
tujhe bhi yaad hain 'ehsan' kinayaten kya kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close