tumhaare rang ki bhi kya koi zanjir milti hai

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
tumhaare rang ki bhi kya koi zanjir milti hai
nazar chahe jidhar jae bas ek taswir milti hai
ye kaun ahmaq banata hai nai duniya ke mansube
yahan insan to milte nahin ta'mir milti hai


taraazu ke ye bazu jaane kis ke kaam aaenge
hamein insaf kab milta hai bas taqrir milti hai
usi dar par chale jao jahan sajde mein the kal raat
dawaen bhi wahin se lo jahan tasir milti hai


bahut aage nikal jaana nahin khwabon ki masti mein
ki aankhen kholte hi panw mein zanjir milti hai
28944 viewsghazalEnglish