tumhaare shahr mein jaane kahan se utra tha

By muzaffar-erajOctober 25, 2023
tumhaare shahr mein jaane kahan se utra tha
ki un dinon bhi koi us ke dil mein basta tha
main jaan-bujh ke hone ko aaya tha nilam
kisi ne tum ko bhi boli lagate dekha tha


ye hadisa tha ki iman main bhi le aaya
ye saneha hai ki main ne tumhin ko puja tha
chura ke le gaya mera sukun mera qarar
wo barson sath mere ghar mein mere rahta tha


bala se chhin ke le jae zindagi meri
main mutmain hun ki mera bhi koi apna tha
main is tarah se bika yun luta phir aisa hua
wo apni tota kahani sunane aaya tha


use sada hi raha zo'm parsai ka
agarche us ko darindon ne roz nocha tha
main apni be-sar-o-samaniyan chhapaun kya
wo ham-safar tha mera jis ne mujh ko luta tha


zaban se zakhm lagane se baz aa 'iraj'
ye zakhm mana tujhe bar bar lagta tha
53767 viewsghazalEnglish