tumhaari farzangi se kuchh kam nahin hai diwana-pan hamara

By shaad-aarfiMay 15, 2021
tumhaari farzangi se kuchh kam nahin hai diwana-pan hamara
tumhein mubarak tumhaari hijrat hamein mubarak watan hamara
jo gulsitanon ki shah-rahon pe apne bistar laga na pae
wahi wahan ja ke kah rahe hain nahin hai koi chaman hamara


ba-qaul-e-'iqbaal' pahle pahle yahan lagae the jis ne dere
wo karwan aaj bhi basa hai kanar-e-gang-o-jaman hamara
baid-e-akhlaq-o-adamiyyat hai rahnumaon se bad-gumani
kamal-e-sada-dili to ye hai ki sath de rahzan hamara


sada-e-naqus-e-but-kada par giraft ka mashwara na dije
ibaadat-o-bandagi ke mane nahin hai jab barhaman hamara
ye dusri baat hai ki hijrat na kar ke dar-dar ki khak chhani
chane na bechega 'josh' ki tarah zauq-e-sher-o-sukhan hamara


watan ki is sar-zamin ko ai 'shad' kaun se dil se chhod den hum
watan ki jis sar-zamin pe guzra hai daur-e-dar-o-rasan hamara
86455 viewsghazalEnglish