tumhaari or se koi ishaara ho bhi sakta hai
By satyawan-satyaJanuary 5, 2024
tumhaari or se koi ishaara ho bhi sakta hai
hamara dil kisi din phir tumhaara ho bhi sakta hai
zamin par panw hon lekin nigahen aasman par hon
bulandi par tumhaara bhi sitara ho bhi sakta hai
main aksar sochta to hun tumhaare bin hi ji lunga
magar lagta nahin tum bin guzara ho bhi sakta hai
duba deta kisi ko bojh khud ka hi samundar mein
kisi insan ko tinke ka sahaara ho bhi sakta hai
mita sakta hai sahra bhi kisi ki tishnagi pal mein
kisi ke waste dariya bhi khaara ho bhi sakta hai
ana ko chhod kar gar tum laga lo dil ye duniya se
to ye sara jahan ek din tumhaara ho bhi sakta hai

83498 viewsghazal • English