tumhaari yaad jab dil se mere lipTi ghazal kah di

tumhaari yaad jab dil se mere lipti ghazal kah di
tadap kar jab kabhi aah-o-fughan utthi ghazal kah di

shab-e-tanhai ka deti hai jis ko nam ye duniya
mere sine pe jab aa kar kabhi baithi ghazal kah di

kaha jab git to phir git sa mazmun le aaya
kahin jab bhi ghazal main ne ghazal jaisi ghazal kah di

bikhar kar chandni jab sahn mein hansne lagi mujh par
ghamon par khak dali aur main ne bhi ghazal kah di

kabhi jab dagmagai zindagi ki naw tufan mein
ada-e-mauj par main ne mohabbat ki ghazal kah di

kai aansu meri palkon se tute be-zabani mein
magar main ne kabhi jab bhi zaban kholi ghazal kah di

hazaron rang duniya ke samete sher mein apne
kabhi jab gulshan-e-dil se udi titli ghazal kah di

mujhe bhi be-nishan ho kar hi is duniya se uthna hai
magar meri ana ne aaj phir koi ghazal kah di

bahut khamosh tha dushman magar bola to ye bola
are kya baat hai nirmal-'nadim' achchhi ghazal kah di


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close