tumhaari yaad ka sawan kahan se aata hai

By ikram-arfiJanuary 3, 2024
tumhaari yaad ka sawan kahan se aata hai
ye meri jaan ka dushman kahan se aata hai
sharik-e-jam nahin hun magar ye sochta hun
tera bhara hua bartan kahan se aata hai


ye paelen to meri tab’-zad hain lekin
mere kalam mein kangan kahan se aata hai
falak ko dekh raha hun sawal karte hue
sitara-e-rukh-e-raushan kahan se aata hai


22437 viewsghazalEnglish