tumhein bas ye batana chahta hun
By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
tumhein bas ye batana chahta hun
main tum se kya chhupana chahta hun
kabhi mujh se bhi koi jhuth bolo
main han mein han milana chahta hun
ye jo khidki hai naqshe mein tumhaare
yahan main dar banana chahta hun
adakari bahut dukh de rahi hai
main sach-much muskurana chahta hun
paron mein tir hai panjon mein tinke
main ye chidiya udana chahta hun
liye baitha hun ghunghru phul moti
tera hansna banana chahta hun
amiri 'ishq ki tum ko mubarak
main bas khana-kamana chahta hun
main sare shahr ki baisakhiyon ko
tere dar par nachana chahta hun
main tum se kya chhupana chahta hun
kabhi mujh se bhi koi jhuth bolo
main han mein han milana chahta hun
ye jo khidki hai naqshe mein tumhaare
yahan main dar banana chahta hun
adakari bahut dukh de rahi hai
main sach-much muskurana chahta hun
paron mein tir hai panjon mein tinke
main ye chidiya udana chahta hun
liye baitha hun ghunghru phul moti
tera hansna banana chahta hun
amiri 'ishq ki tum ko mubarak
main bas khana-kamana chahta hun
main sare shahr ki baisakhiyon ko
tere dar par nachana chahta hun
30305 viewsghazal • English