tumhein jo kah na paya hai ghazal mein main sunata hun
By abhishek-jainFebruary 5, 2024
tumhein jo kah na paya hai ghazal mein main sunata hun
jahan-bhar se chhupata hun wahi tum ko batata hun
mohabbat hai mujhe kitni tumhein kaise bataun main
tumhin ko yaad karta hun sabhi ko bhul jata hun
jise 'mira' ne gaya hai wahi ab yaad aata hai
usi ko hi to mahfil mein sabhi ko main sunata hun
churae the kabhi main ne jo paise jeb se jin ke
unhin ke waste hi main yahan paisa kamata hun

13060 viewsghazal • English