tumhein khayal-e-zat hai shuur-e-zat hi nahin khata muaf ye tumhaare bas ki baat hi nahin ghazal faza bhi dhundti hai apne khas rang ki hamara masala faqat qalam dawat hi nahin hamari saaton ke hissa-dar aur log hain hamare samne faqat hamari zat hi nahin waraq waraq pe diary mein aansuon ka nam bhi hai ye sirf barishon se bhige kaghzat hi nahin kahaniyon ka rup de ke hum jinhen suna saken hamari zindagi mein aise waqiat hi nahin kisi ka nam aa gaya tha yunhi darmiyan mein ab is ka zikr kya karen jab aisi baat hi nahin