tumhein mujh mein kya nazar aa gaya jo mera ye rup bana gae wo tamam log jo ishq the wo mere wajud mein aa gae na tere siwa koi likh sake na mere siwa koi padh sake ye huruf-e-be-waraq-o-sabaq hamein kya zaban sikha gae na kar aaj hum se ye guftugu mujhe kyun hui teri justuju are hum bhi ek khayal the so tere bhi zehn mein aa gae jo suna ki ghar tere jaenge tere sehan o bagh sajaenge mere ashk ud ke hawa ke sath unhi baadalon mein sama gae dil-e-shab mein subh ki dhadkanen abhi ibtida-e-ghazal mein thin ki wo aae aur tamam sher meri hi dhun mein suna gae jo na aap us pe hue ayan ye rakhega hum ko bhi sar-giran kai bar le ke shikayaten mere dost arz o sama gae kai mahfilon mein to yun hua ki jab aae 'ali'-e-khush-ada jo na khul sake to chhupe rahe jo na ro sake to rula gae