tumhin pher loge jo hum se nigahen milengi kahan gham-zadon ko panahen bashar napta hai sitaron ki rahen use le na duben ye parwaz-gahen talatum se kab dubte hain safine agar dubte dil dubona na chahen thaharti hain gul par na shams-o-qamar par na jaane kise dhundhti hain nigahen unhen mil gaya nam dair-o-haram ka jo insaniyat ki hain qurban-gahen nahin koi ummid hum ko wafa ki jafa hi sahi aap kuchh to nibahen junun hi yahan kaam aae to aae bahut pur-khatar hain mohabbat ki rahen meri kaenat-e-mohabbat hai 'sabir' yahi chand aansu yahi chand aahen