tum ko chhoda to aisa laga jaise khud se alag ho gae ek manzil ko jate hue apne raste alag ho gae bas isi baat se gham-zada bas isi baat ka dukh hamein dusron se yun milte hue mere apne alag ho gae kuchh siyasat se tode gae kuchh ko sazish ne bahka diya ek man ke hain jae sabhi aaj kitne alag ho gae raat ki samt dekho nahin nind us din se aai nahin jab se walid ke hi samne us ke bete alag ho gae bas yahi haal hoga tera bas yahi haal hoga mera jaise ek ped ki shakh se us ke patte alag ho gae