tumko jiwan mein KHasara bhi to ho sakta hai

By rashid-ansarFebruary 28, 2024
tum ko jiwan mein khasara bhi to ho sakta hai
jo tumhaara hai hamara bhi to ho sakta hai
subh-dam ye jo sar-e-shakh mahakne laga phul
tere milne ka ishaara bhi to ho sakta hai


jo samundar ke talatum se nikal aaya hai
us ko tinke ka sahaara bhi to ho sakta hai
tu jo har waqt yahan shikwa-kunan rahta hai
is zamane se kinara bhi to ho sakta hai


ungliyan yun na meri rakh mein phero apni
rakh mein koi sharara bhi to ho sakta hai
ye sar-e-sham jo galiyon mein mahakti hai hina
is mein kuchh hath tumhaara bhi to ho sakta hai


chand ka hona zaruri to nahin hai 'ansar'
baat karne ko sitara bhi to ho sakta hai
67231 viewsghazalEnglish