tumne gar mujhko kabhi dil se pukara hota
By aatish-muradabadiSeptember 8, 2024
tum ne gar mujh ko kabhi dil se pukara hota
phir bulandi pe mohabbat ka sitara hota
mere hathon mein agar hath tumhaara hota
kitna dilkash wo meri jaan nazara hota
bas takhayyul hai teri yaad hai tanhai hai
kash aise mein mujhe tu ne pukara hota
apne mahbub ki bas ek jhalak pane ko
yar bechain kabhi dil na hamara hota
tu jo mil jata to mil jatin jahan ki khushiyan
tera har zulm-o-sitam mujh ko gawara hota
tishnagi honton pe hoti na nami aankhon mein
waqt-e-akhir jo agar sath tumhaara hota

26768 viewsghazal • English