tumne likkha hai likho kaisa hun main

By aashufta-changeziApril 21, 2024
tum ne likkha hai likho kaisa hun main
doston ki bhid hai tanha hun main
yasmin o nastaran mera pata
khushbuon ke jism par likkha hun main


pahle hi kya kam tamashe the yahan
phir nae manzar utha laya hun main
phir wahi mausam purane ho gae
din dhale sargoshiyan sunta hun main


kaun utarti chadhti sanson ka amin
saya-e-diwar se lipta hun main
tu kabhi is shahr se ho kar guzar
raston ke jal mein uljha hun main


wo meri khush-fahmiyan sab kya huin
jaane kab se be-hunar zinda hun main
50547 viewsghazalEnglish