tund-KHu hawa bhi kab kaam kar saki tanha

By siddiq-fatahpuriMay 21, 2021
tund-khu hawa bhi kab kaam kar saki tanha
aandhiyon mein raushan hai sham-e-zindagi tanha
sath sath chalte hain gham rah-e-masarrat mein
ras kis ko aaya hai lamha-e-khushi tanha


aur tez hota hai wahshaton ke aalam mein
kya hawa bujhaegi raqs-e-shoalagi tanha
subh ke musafir ko kaun rok sakta hai
rasta banata hai sail-e-raushni tanha


rah gae sabhi pichhe zoam-e-khud-numai mein
kaam aa gaya apna jazb-e-be-khudi tanha
jis jagah farishton ke bhi qadam nahin pahunche
le gaya mujhe mera zauq-e-agahi tanha


bulbulon ke naghme the chaar su jahan 'siddiq'
khema-zan gulistan mein ab hai khamushi tanha
85777 viewsghazalEnglish