tunuk-mizaj hai malhuz yun adab rakhna

tunuk-mizaj hai malhuz yun adab rakhna
bahut sanbhal ke tum us ke labon pe lab rakhna

nawa-e-girya-o-zari faza mein bikhri hai
ye sham hai to kahan tak lihaz-e-shab rakhna

alag khadi rahi hum se hamari parchhain
hamare kaam na aaya hasab-nasab rakhna

sada se bair hai apne sakhi ko kya kije
bura bhi lagta hai honton ko be-talab rakhna

bahakti raat ke qisse machalte din ke sawal
wo mang lega kisi din hisab sab rakhna

firasaton se 'adawat hai hoshiyaron ko
so pagalon ki tarah se bana ke chhab rakhna

nasha sharab nahin wo nigah karti hai
wo pher lega nigahen gilas tab rakhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close