TuTa hua hai lakh safar ki thakan se

By syed-waseem-naqviJanuary 5, 2024
tuta hua hai lakh safar ki thakan se
sahra-naward kaise kahe aasman se
diwar-o-dar se aage bhi duniya hai ek meri
ek shakhs kah raha tha ye apne makan se


hosh-o-hawas sath hi dete nahin mera
mehman ek jab se gaya hai makan se
le aaya hai jo hijr ki dahliz par mujhe
niklega kaise shakhs wo mere guman se


hum ko tumhaari zulfon ki 'adat bhi yun padi
lagne lagi hai aanch hamein saeban se
sayyaad ne hawa mein lagaya hai aisa jal
darne lage hain sare parinde udan se


bas gahri nind hum ko sulana na zindagi
kab hum ne haar mani kisi imtihan se
is film mein bhi koi maza ab nahin raha
jab se wo shakhs rutha hai is dastan se


99549 viewsghazalEnglish