tute hue khwabon ke talabgar bhi aae ai jins-e-giran tere kharidar bhi aae muddat hui sunte hue tamhid-e-tilismat ab qisse mein aage koi kirdar bhi aae kya khatm na hogi kabhi sahra ki hukumat raste mein kahin to dar-o-diwar bhi aae ab jis ke asar mein hai ye viran haweli wo saya kabhi to pas-e-diwar bhi aae phir shahr mein ayyam-e-guzishta ki udi rakh phir zad mein kai jubba-o-dastar bhi aae pahle to sabhi tere sarapa mein hue gum phir zikr mein aage tere atwar bhi aae