TuTe jo dant munh ki shabahat bigaD gai

By shad-lakhnaviNovember 18, 2020
tute jo dant munh ki shabahat bigad gai
wo ghar hua kharab jahan phut pad gai
wo zar hun jo sans dam-e-marg ukhad gai
mayyat kanar-e-gor mein kante si gad gai


dhundho charagh le ke zaifon gali gali
gham ho gaya shabab jawani bichhad gai
phulun phalun main kya chaman-e-rozgar mein
main wo nihaal-e-sabz hun ghun jis ki jad gai


chaha jo malish-e-kaf-e-afsos kijiye
hathon ko ye mila ki hatheli ragad gai
gul aa ke zer-e-kafsh-e-saba saf ho gaya
juti jo be-haya ke padi khak jhad gai


uqda khula ye dast-e-hina band-e-yar se
meinhdi hai apne chor ki mushken jakad gai
wo gul araq-fashan nazar aaya jo bagh mein
shabnam pe os aab-e-khajalat se pad gai


dhanpa kafan mein munh ko jo sharm-e-gunah se
mayyat meri zamin mein khajalat se gad gai
ai 'shad' lucknow ki kharabi na puchhiye
basti basi-basai gulon ki ujad gai


87474 viewsghazalEnglish