uchhalta kudta hai KHush dil-e-diwana hota hai

By boom-merathiOctober 16, 2021
uchhalta kudta hai khush dil-e-diwana hota hai
nazar ke samne jab jalwa-e-jaanana hota hai
meri khaslat se na-khush apna aur begana hota hai
jahan main baith jata hun wahin virana hota hai


mere kandhon pe rakh de saqiya dukan ko apni
jahan do botalen rakh din wahi mai-khana hota hai
shama kuchh phukne ke waste ghar par nahin jati
fida ullu ka pattha aa ke khud parwana hota hai


abe saqi nahin hai jam to la is taraf botal
zara si tuntuni ko tod dun paimana hota hai
janab-e-shaikh ka is waqt mein khinche koi photo
ki jab botal baghal mein hath mein paimana hota hai


naqab kar ke chura lete hain hum pipe sharabon ke
ki jis dam band aadhi raat ko mai-khana hota hai
shab-e-wada ki baaten tum jo kah dete ho ghar ja kar
unhin baaton ka badhte badhte ek afsana hota hai


16551 viewsghazalEnglish