udas aankhen ghazal aankhen jawab aankhen sawal aankhen hazar raaton ka bojh uthiye wo bhigi palken wo lal aankhen wo subh ka waqt nind kachchi khumar se be-misal aankhen bas ek jhalak ko tadap rahi hain rahin-e-shauq-e-visal aankhen jhuki jhuki si mundi mundi si amin-e-naz-e-jamal aankhen wo hijr ke mausamon se uljhi thaki thaki si nidhaal aankhen na jaane kyun khoi khoi si hain bujhi bujhi pur-khayal aankhen hain shokhiyon se chhalakne wali mohabbaton se nihaal aankhen agar nigahon se mil gain to karengi jina muhaal aankhen chhupe hue hain hazar jazbe bala ki hain ye kamal aankhen