udas kaghzi mausam mein rang o bu rakh de

By bekal-utsahiOctober 28, 2020
udas kaghzi mausam mein rang o bu rakh de
har ek phul ke lab par mera lahu rakh de
zaban-e-gul se chatanen tarashne wale
nigar o naqsh mein aasaish-e-numu rakh de


suna hai ahl-e-khirad phir chaman sajaenge
junun bhi jeb o gareban pa-e-rafu rakh de
shafaq hai phul hai dipak hai chand bhi hai magar
unhin ke sath kahin saghar o subu rakh de


chala hai jaanib-e-mai-khana aaj phir waiz
kahin na jam pe lab apne be-wazu rakh de
tamam shahr ko apni taraf jhuka lunga
gham-e-habib mere sar pe hath tu rakh de


giran lage hai jo ehsan dast-e-qatil ka
uth aur tegh ke lab par rag-e-gulu rakh de
khuda kare mera munsif saza sunane par
mera hi sar mere qatil ke ru-ba-ru rakh de


samundaron ne bulaya hai tujh ko ai 'bekal'
tu apni pyas ki sahra mein aabru rakh de
30682 viewsghazalEnglish