udas rahne ka koi bahana chahta hun

By rohit-gaur-ruuhJanuary 4, 2024
udas rahne ka koi bahana chahta hun
wo lutf gham ke tere phir se pana chahta hun
suna hai jhut nahin bolti hain ye nazren
isi liye main ye nazren milana chahta hun


nazar nazar mein hi hota tamam hai qissa
wo jab bhi dekhe main nazren churana chahta hun
kabhi kisi ko bataya nahin jataya nahin
tujhe hi kyon wo batana jatana chahta hun


likha hua hai tera nam meri rag rag par
lahu baha ke main is ko mitana chahta hun
91261 viewsghazalEnglish