
udasi aasman hai dil mera kitna akela hai parinda sham ke pul par bahut khamosh baitha hai main jab so jaun in aankhon pe apne hont rakh dena yaqin aa jaega palkon tale bhi dil dhadakta hai tumhaare shahr ke sare diye to so gae kab ke hawa se puchhna dahliz pe ye kaun jalta hai agar fursat mile pani ki tahriron ko padh lena har ek dariya hazaron sal ka afsana likhta hai kabhi main apne hathon ki lakiron se nahin uljha mujhe malum hai qismat ka likkha bhi badalta hai
Please share if you liked this!!!