udasiyon ka musalsal nuzul ab bhi hai
By wasim-nadirJanuary 5, 2024
udasiyon ka musalsal nuzul ab bhi hai
har ek chiz pe kamre ki dhul ab bhi hai
ulajh ke rah gae rumal apne jis mein kabhi
wafa ki rah mein kya wo babul ab bhi hai
wo 'ishq walon ko sahra mein chhod aate the
tumhaare shahr mein kya ye usul ab bhi hai
tumhaare nam ki khushiyan to khair mil na sakin
tumhaare nam ka har gham qubul ab bhi hai
kabhi-kabhaar mahak uthne ka sabab 'nadir'
wafa ki shakh pe ik-adh phul ab bhi hai

92948 viewsghazal • English