udasiyon ke siwa is makan mein kya hai
By wasim-nadirJanuary 5, 2024
udasiyon ke siwa is makan mein kya hai
tumhaare ba'd meri dastan mein kya hai
tum is liye bhi mukhalif rahe hawaon ke
tumhein pata hi nahin aasman mein kya hai
nigah tikti nahin kyon kisi bhi chehre par
khuda hi jaane tumhaare guman mein kya hai
zamin se uth ke khala mein kahin bhatak jaana
zaruraton ke 'alawa udan mein kya hai
bas ek junun samundar mein gharq hone ka
nahin to aur nadi ke ufan mein kya hai
tamam 'umr jala hun tapish mein suraj ki
ye mujh se puchhe koi saeban mein kya hai

14716 viewsghazal • English