udhde hue malbus ka parcham sa gaya hai bazar se phir aaj koi hum sa gaya hai jhonka tha magar chhed ke guzra hai kuchh aise jaise tere paikar ka koi kham sa gaya hai chhodun ki mita dalun isi soch mein gum hun aaine pe ek qatra-e-khun jam sa gaya hai galon pe shafaq phulti dekhi nahin kab se lagta hai ki jismon mein lahu tham sa gaya hai aankhon ki tarah dil bhi barabar rahe kadwe in tang makanon mein dhuan jam sa gaya hai 'sajjad' wahi aaj ka shair hai jo pal mein bijli ki tarah kaund ke shabnam sa gaya hai