uDti KHushbu hun na baadal ki rawani jaanan
By ahmad-raeesJuly 6, 2021
udti khushbu hun na baadal ki rawani jaanan
mukhtalif hai meri duniya se kahani jaanan
tujh se mansub hua hun to hun nazan khud par
ki mayassar hui gul-rang kahani jaanan
main sawali hun tere husn ki ranai ka
ho ata mujh ko bhi kuchh apni nishani jaanan
waqt ke bikhre kharabon ke inhin dheron par
dhundhne nikla hun gum-gashta jawani jaanan
main ne har mod pe samjhaya tujhe ki talqin
par meri baat na tu ne kabhi mani jaanan

43920 viewsghazal • English