ujaD aankhon mein rat-jagon ka azab utra hai nim-shab ko

By noon-meem-danishOctober 25, 2023
ujad aankhon mein rat-jagon ka azab utra hai nim-shab ko
jo dard jaga hai sham dhalte to sher likkha hai nim-shab ko
main khali kamre ke sard goshe mein roz tanha ye sochta hun
ye kaun hansta hai din dhale tak ye kaun rota hai nim-shab ko


hamare bachchon ki sabz aankhon mein raushni ke kanwal nahin hain
udas saya sa roz aakar ye mujh se kahta hai nim-shab ko
duaen le kar hum apne honton pe jaane kis sukh ke muntazir hain
hamein khabar hai ki is nagar mein azab utra hai nim-shab ko


dahakte suraj ka zulm kachche gharon ke basi hi jhelte hain
ye baat sochi nahin thi din mein jo khwab dekha hai nim-shab ko
kise khabar hai ye kaun si shai wajud-e-shama ko chatti hai
ye dekhte hain ki ek saya larazta rahta hai nim-shab ko


tumhaari yaadon ki dhimi lai hai ya main hun ya phir koi nahin hai
to sune aangan mein kaun aakar diya jalata hai nim-shab ko
ye aagahi ke udas lamhon mein karb kya hai azab kya hai
wo jaanta hai jo apne rab ki tarah se tanha hai nim-shab ko


tum apne sare guzashta lamhe bhula hi dena magar ye karna
use duaon mein yaad rakhna jo tum ko rota hai nim-shab ko
agar kabhi tum miloge us se ye jaan lo ‘nun-mim-danish'
wo aadmi hai jo dard pata hai khwab bota hai nim-shab ko


73277 viewsghazalEnglish