ujala ab na saya rah gaya hai

By gyanendra-pathakSeptember 4, 2022
ujala ab na saya rah gaya hai
diya bujh kar ke tanha rah gaya hai
yahan ab kaun hai jo dard bante
yahan ab kaun apna rah gaya hai


utar aae sitare sab zamin par
falak par chand tanha rah gaya hai
diye ki lau ye shab se puchh baithi
abhi kitna andhera rah gaya hai


bujha dale diye yaadon ke hum ne
magar phir bhi ujala rah gaya hai
20323 viewsghazalEnglish