ujde hue logon se gurezan na hua kar haalat ki qabron ke ye katbe bhi padha kar kya jaaniye kyun tez hawa soch mein gum hai khwabida parindon ko darakhton se uda kar us shakhs ke tum se bhi marasim hain to honge wo jhut na bolega mere samne aa kar har waqt ka hansna tujhe barbaad na kar de tanhai ke lamhon mein kabhi ro bhi liya kar wo aaj bhi sadiyon ki masafat pe khada hai dhunda tha jise waqt ki diwar gira kar ai dil tujhe dushman ki bhi pahchan kahan hai tu halqa-e-yaran mein bhi mohtat raha kar is shab ke muqaddar mein sahar hi nahin 'mohsin' dekha hai kai bar charaghon ko bujha kar