ulajhte rahte hain jaane kyon bar-bar mujhse

ulajhte rahte hain jaane kyon bar-bar mujh se
yahan pe kuchh log hain jo jalte hain yar mujh se

main ek din khul ke bol baitha tha aakhirat par
bigad gae us ke baad sab duniya-dar mujh se

ajib dukh hai main aaj us mein khatak raha hun
jo aankh dekhi nahin gai ashk-bar mujh se

palat ke aa ja ki baat bas mein nahin rahi ab
sanbhal nahin pa raha dil-e-be-qarar mujh se

ye sab tufail-e-gham-e-shab-e-hijr hai meri jaan
jo sher hone laga hai ab shandar mujh se

hua kuchh aise ki main budhape ko aan pahuncha
phir is se aage hua nahin intizar mujh se

kisi ki baaton mein aa gaya hai wo shakhs 'mehdi'
wagarna chahat to thi use be-shumar mujh se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close