ulfat ka jis ko rog laga wo bacha nahin ye dard hai wo dard ki jis ki dawa nahin insan wo kya ki jis se ho sarzad khata nahin izhaar-e-dard-e-dil pe ye ghussa rawa nahin mehr-o-wafa nahin hain ki sabr-o-raza nahin hum afqaron ke kisa-e-khaki mein kya nahin bimar ke na zakhm pe zalim namak chhidak nargis se chhed achchhi ye baad-e-saba nahin phir kah ke kya pukarun tujhe jaan-e-man agar dilbar nahin nigar nahin dilruba nahin nadan dil ko us se wafa ki umid hai jo bewafa kisi ka abhi tak hua nahin be-laus ishq-o-husn-parasti ke ma-siwa wallah mera aur koi muddaa nahin dekha dil-e-gharib ko nagin si das gai lahra rahi hai zulf ye kali ghata nahin bhule se han bhi munh se nikalta kabhi kabhi mere har ek sawal pe ye ta-kuja nahin dukh dard mein hamesha jo sab ka sharik hai us ke siwa kisi ka mujhe aasra nahin bedar sone mein bhi hai karti zamir ko dil ki sada hai ye koi bang-e-dara nahin aasan nahin mushahida-e-shahid-jamal nazron se khulne wala ye band-e-qaba nahin pahle-pahal jo dil ko lagi thi nazar ki chot bhula gharib aaj bhi wo hadisa nahin bekar us ke samne izhaar-e-zauq-o-shauq nadan shai-e-latif se jo aashna nahin 'mahir' na dil kaho use ek lakht-e-sang hai har-dam gham-e-habib mein jo mubtala nahin