ulfat na karunga ab kisi ki dushman hua jis se dosti ki haalat kahun apni be-khudi ki dil de ke suno jo mere ji ki awwal awwal bhalaiyan kin aakhir aakhir bahut buri ki masruf hai sina-kubi mein dil aati hai sada dhada-dhadi ki ulfat pe teri khatma hai ab le le qasam tu aashiqi ki karte rahe ikhtiraa aaphi taqlid na ki kabhi kisi ki rone pe mere hanste hain aap hans lijiye baat hai hansi ki kyunkar na farefta ho insan tan hur ka shakl hai pari ki shirin-dahno nahin hai zeba tum baaten karo na phiki phiki diwana hua hun ek pari ka taqsir ye hai to waqai ki be-yar hai dil kabab-e-saqi taklif na kar tu mai-kashi ki aankhen ladin tujh se main hua qatl in turkon ne jang-e-zargari ki karne do badi jo karte hain ghair sunta nahin 'rind' wo kisi ki