umangon mein wahi josh-e-tamanna-zad baqi hai

By yaqoob-usmaniNovember 26, 2020
umangon mein wahi josh-e-tamanna-zad baqi hai
abhi dil mein khuda rakkhe kisi ki yaad baqi hai
sar-e-manzil fareb-e-rahnuma ka tod mushkil tha
ghanimat hai ki shauq-e-marhala-ijad baqi hai


hansi aati hai tere is ghurur-e-dam-dari par
koi phanda bhi sabit aaj ai sayyaad baqi hai
sahar ne aa ke chehra waqt ka dhoya to kya dhoya
fazaon par ghubar-e-khatir-e-nashad baqi hai


tabahi gherne wali thi aakhir kin safinon ko
tah-e-girdab shor-e-har-che baada-baad baqi hai
abhi se bandh gai hichki chaman-afroz kaliyon ki
abhi to dastan-e-nighat-e-barbaad baqi hai


zaban-e-waqt kal se ek naya afsana chhedegi
bahut thodi si 'yaqub' aaj ki rudad baqi hai
80614 viewsghazalEnglish