umid-war to barg-o-samar ke hum bhi hain

By adnan-munawwarMay 21, 2024
umid-war to barg-o-samar ke hum bhi hain
shajar na kat ki shakh-e-shajar ke hum bhi hain
ye aur baat ki daman na mil saka hum ko
gire hue to kisi chashm-e-tar ke hum bhi hain


subuk-rawan-e-mohabbat na yun hanso hum par
shikasta-pa sahi is rah-guzar ke hum bhi hain
ye aur baat hamari khabar nahin rakhta
hamein khabar hai kisi ba-khabar ke hum bhi hain


ai ahl-e-qafila tanha safar bhi sakht nahin
hamara zad-e-safar hai safar ke hum bhi hain
94481 viewsghazalEnglish