umidon se dil-e-barbaad ko aabaad karta hun

By hari-chand-akhtarJanuary 3, 2024
umidon se dil-e-barbaad ko aabaad karta hun
mitane ke liye duniya nai ijad karta hun
teri mi’ad-e-gham puri hui ai zindagi khush ho
qafas tute na tute main tujhe aazad karta hun


jafa-karo meri mazlum khamoshi pe hanste ho
zara thahro zara dam lo abhi fariyaad karta hun
main apne dil ka malik hun mera dil ek basti hai
kabhi aabaad karta hun kabhi barbaad karta hun


mulaqaten bhi hoti hain mulaqaton ke ba'd aksar
wo mujh ko bhul jate hain main un ko yaad karta hun
khudi ki ibtida ye thi ki apne-ap mein gum tha
khudi ki intiha ye hai khuda ko yaad karta hun


buton ke 'ishq mein khoya gaya hun warna ai 'akhtar'
khuda shahid hai main aksar khuda ko yaad karta hun
42490 viewsghazalEnglish