umr aaKHir hai junun kar lun bahaaran phir kahan

By inamullah-khan-yaqeenOctober 31, 2020
umr aakhir hai junun kar lun bahaaran phir kahan
hath mat pakdo mera yaro gireban phir kahan
chashm-e-tar par gar nahin karta hawa par rahm kar
de le saqi hum ko mai ye abr-e-baran phir kahan


yar jab pahne jawahir kar de ai dil ji nisar
jal chuk ai parwane ye rangin charaghan phir kahan
is tarah sayyaad kab aazad chhodega tumhein
bulbulo dhumen macha lo ye gulistan phir kahan


hai bahishton mein 'yaqin' sab kuchh wa-lekin dard nain
bhar ke dil ro lijiye ye chashm-e-giryan phir kahan
93093 viewsghazalEnglish