umr be-wajh guzare bhi nahin ja sakte itne zinda hain ki mare bhi nahin ja sakte haal ab ye hai ki dariya mein bhi lagta nahin ji aur kisi ek kinare bhi nahin ja sakte us jagah ja ke wo baitha hai bhari mahfil mein ab jahan mere ishaare bhi nahin ja sakte zeb-tan itne kiye dil ne hawas ke malbus ki shab-e-wasl utare bhi nahin ja sakte nind se us ko jagana bhi zaruri hai bahut raat-bhar us ko pukare bhi nahin ja sakte sari shaklon se pare hai wo hamara mahbub so tasawwur ke sahaare bhi nahin ja sakte jitne ka na koi shauq na taufiq hamein lekin is tarah to haare bhi nahin ja sakte falak-e-ishq pe ta-der thaharna hai muhaal is bulandi se utare bhi nahin ja sakte farhat-ehsas tujhe mana hai jaana us tak kya tere khun ke dhaare bhi nahin ja sakte