umr-bhar us ki nishani dekhiye ishq kar yun jawedani dekhiye yaad kije wo pari-chehra sada aur har su raat-rani dekhiye hijr ke mausam mein bhi gulzar hun ye ghazab ki baghbani dekhiye dhadkanen tasbih us ke nam ki dil pe us ki hukmarani dekhiye dard mehman hai magar jata nahin aap meri mezbani dekhiye aap hain jo ishq ke ahl-e-zaban meri bhi kar tarjumani dekhiye bebasi bechainiyan betabiyan 'ashna' ke sab maani dekhe