umr-e-fani ko hayat-e-jawidan samjha tha main

By abdul-qayyum-zaki-aurangabadiApril 26, 2022
umr-e-fani ko hayat-e-jawidan samjha tha main
thi khizan jis ko bahaar-e-gulistan samjha tha main
dam ham-rang-e-zamin hai aur wahi sayyaad bhi
apni aahon ko harif-e-asman samjha tha main


kis tarah ab kar sake koi kisi par e'timad
rahzan the jin ko mir-e-karwan samjha tha main
khar ghunche ban gae aur phul angare bane
teri duniya ko to ya-rab gulsitan samjha tha main


khana-e-dil mein na un se ho saki kuchh raushni
dagh-ha-e-dil ko apne kahkashan samjha tha main
dast-o-pa ne di shahadat hashr mein mere khilaf
zindagi ke sathiyon ko be-zaban samjha tha main


ab teri marzi ho jaisi bakhsh de ya de saza
teri rahmat ko ilahi be-karan samjha tha main
aaj us ko le gai baad-e-saba mahbub tak
khak wo meri ki jis ko raegan samjha tha main


aalam-e-ghurbat hai main hun aur nahin koi 'zaki'
hai haqiqat ab jise wahm-o-guman samjha tha main
92660 viewsghazalEnglish