umr guzri hai to phir hosh ko rab yaad aaya mar gaya shauq to phir is ka sabab yaad aaya din ka aaghaz hua aankh mein aansu aae awwal-e-shab ka ziyan aakhir-e-shab yaad aaya mujh ko to yaad na tha us se juda ho jaana wo to batlaya mujhe us ne to tab yaad aaya ab ke shahron mein bhi jangal ki hawa aisi chali maen bistar mein chhupin bhediya jab yaad aaya meri tarah se wo yak-rangi se tang aaya to din ko phir raat mein dhal jaane ka dhab yaad aaya