un ke baghair chain na aae to kya karun

By ehsan-akhtar-ghazipuriJuly 2, 2022
un ke baghair chain na aae to kya karun
har-dam unhin ki yaad satae to kya karun
yun to khud aashiyan se qafas bhi qarib hai
bijli bas aashiyan ko jalae to kya karun


zarre hain sang-e-mil sitare hain rahbar
manzil jo koi phir bhi na pae to kya karun
baadal bhi hai bahaar bhi hai be-khudi bhi hai
aise mein un ki yaad satae to kya karun


tauba ko main aziz hun tauba mujhe aziz
lekin koi nazar se pilae to kya karun
ji to raha hun hasrat-e-jalwa liye hue
hasrat jo did ki na bar aae to kya karun


aai to hai chaman mein bahaar-e-chaman magar
phulon ko eatibar na aae to kya karun
tauba phir aaj jaan ke 'akhtar' ne tod di
fitrat se apni baz na aae to kya karun


68119 viewsghazalEnglish