un ke ghar aana nahin jaana nahin muddaten guzrin wo yarana nahin naza mein wo ye tasalli de gae maut bhi aae to ghabrana nahin kya rahega ishq mein sabit-qadam dasht koi ghair ne chhana nahin be-bulae jaun us mahfil mein kyun galiyan nahaq mujhe khana nahin main wahi hun jis ko kahte the 'rashid' tum ne ab tak mujh ko pahchana nahin