un ke jalwon ki tasawwur mein farawani hai aaj jis jagah main hun wahan har chiz nurani hai aaj un ka jalwa kar-farma hai kisi ke husn mein ishq phir halqa-ba-gosh-e-husn-e-insani hai aaj izn-e-mai-noshi hai phir saqi ki chashm-e-mast se hum ne tauba tod kar pine ki phir thani hai aaj ab to pine se siwa hain laghzishon mein lazzaten kyon ki khud saqi ki maston par nigahbani hai aaj qissa-e-mazi hai goya lan-tarani ki sada har taraf pesh-e-nazar ek nur-e-yazdani hai aaj yun ba-qadr-e-kasr-e-isyan hai rahmat ka nuzul main ne tauba ki thi tauba par pashemani hai aaj aa rahe hain samne waiz ke poshida gunah parda-e-rahmat mein meri chaak-damani hai aaj kis qadar mafluj the ab tak hawadis se hawas ba'd muddat hum ne apni shakl pahchani hai aaj 'ashiq' o 'mahtab' o ‘muztar' 'shad' 'azurda' 'khaliq' 'kaif' o 'sadiq' hain 'shifa' mahw-e-ghazal-khwani hai aaj