un ke naqsh-e-qadam mahakte hain

By vikas-naseebMarch 1, 2024
un ke naqsh-e-qadam mahakte hain
phul bhi jin se kam mahakte hain
nam likhta hun khat mein jab un ka
mere kaghaz qalam mahakte hain


jab bhi rota hun un ki yaadon mein
to mere chashm-e-nam mahakte hain
un ki khushbu bhari hai sanson mein
hum to ab dam-ba-dam mahakte hain


24614 viewsghazalEnglish